waqt ke zalim samundar mein pareshani ke sath

waqt ke zalim samundar mein pareshani ke sath
dub jata hai koi kyun itni aasani ke sath

meri sanson ki mahak ka bhi bahut charcha hua
raat jab main ne gizari raat ki rani ke sath

main wahi hun aur mera martaba mujh se buland
nam apna le raha hun main bhi hairani ke sath

main ne to kuchh aastin ke sanp ginwae the bas
tum ne kyun aankhen milai hain pashemani ke sath

karbala wale agar hain mohtaram to mohtaram
nosh mat jam-e-shahadat kijiye pani ke sath

ek tabassum ka bharam aabaad honton par kiye
ji rahe hain log apni apni virani ke sath

mar gaya 'misdaq' bhi sultan-tipu ki tarah
dekh kar hamraaz apna dushman-e-jaani ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close