ujlaton mein us ne hum se kah diya be-fikr hun par hamari chah mein sham-o-sahar rote rahe ashk meri khairiyat lene ki khatir dam-ba-dam apna sahil chhod kar rukhsar par bahte rahe kya abhi bhi ishq ke qabil nahin samjhe gae jitne gham tu ne diye hans hans ke hum sahte rahe phul tu bhi chhod de khushbu udana bagh mein khar tere waste zakhmi mujhe karte rahe be-hisi tujh se mujhe shikwa hamesha se raha ghair ke tukdon pe kyun ahl-e-qalam palte rahe dhundh pata hi nahin mujh ko magar us ke liye khush-nasibi thi zamin par naqsh-e-pa chhapte rahe ai mohabbat imtihan lena hamara chhod de fail hote hum gae tujh ko bura kahte rahe man agar ghar mein rahe ghar bhi mera jannat lage phir sukun utna mila jaise yahin rahte rahe wasta main is hukumat se bhala kaise rakhun khud-kushi kar li kisanon ne jawan marte rahe bij hum ne bo diya banjar zamin dekha nahin phir hukumat se gila shikwe sabhi karte rahe qatl us ne kar diya mujh ko magar achchha hua khun ke qatre usi ke hath se lipte rahe chashni urdu adab ki kam nahin hogi kabhi hum buzurgon ke qalam ko tham kar likhte rahe