waqt ki aag se shoalon se sharar se ho kar

waqt ki aag se shoalon se sharar se ho kar
barha guzra hun is rahguzar se ho kar

rah-e-dil is liye pamal nazar aati hai
nit-nai khwahishen jati hain idhar se ho kar

isi bais nahin hota hai tajjub in pe
hadse guzre hain sab meri nazar se ho kar

itna malum rahe shorish-e-hasti tujh ko
kashti-e-zist bhi nikli hai bhanwar se ho kar

jo abhi tak mere honton pe nahin aai thi
wo dua laut bhi aai tere dar se ho kar

apne aape mein nahin aaya hai pahron 'rahat'
jab bhi dil lauta hai ummid-nagar se ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close