zat ka apni eatibar gaya

zat ka apni eatibar gaya
ek bazi main aur haar gaya

nakhuda kashti-e-mohabbat ka
kis bhanwar mein mujhe utar gaya

kaise chhoda hai us ne tir-e-nazar
dil mein atka na dil ke par gaya

ab ke bhi pichhle sal ki manind
yunhi ye mausam-e-bahaar gaya

jam-e-labrez mujh tak aate hi
zehn ka mere khalfishaar gaya

main ne ghabra ke si liya daman
dao main jit ke bhi haar gaya

aashti ho gai gareban se
hath se ye bhi karobar gaya

khuld ki awwalin baghawat par
dhyan mera bhi bar bar gaya

aaj phir aa gae hain wo 'rahat'
aaj phir lutf-e-intizar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close