waqt ki tah mein utar jaunga main bhi lamha hun guzar jaunga ab jo nikla hun tere khwab liye ta-ba-imkan-e-nazar jaunga tu har ek shai mein milega mujh ko tujh ko paunga jidhar jaunga wo bhi din the ki guman hota tha tujh se bichhdunga to mar jaunga tu mera hamdam-o-hamraaz na ban main to nashsha hun utar jaunga