waqt ne har-waqt hi zer-o-zabar jari rakha

waqt ne har-waqt hi zer-o-zabar jari rakha
hum ne bhi har haal mein apna safar jari rakha

mujh ko kath-putli bana kar raqs karwati rahi
zindagi ne ye tamasha umr bhar jari rakha

ungliyon se aa rahi hai aaj bhi khushbu teri
jadui si is chhuwan ne hai asar jari rakha

jaane kitne pattharon se chot ki hum ne magar
ped ne phir bhi hamein dena samar jari rakha

mushkilon ke daur mein bhi hausla chhoda nahin
aable talwon mein the phir bhi safar jari rakha

yun to aawara-mizaji mein kabhi hum kam na the
phir bhi hum ne laut aana apne ghar jari rakha

kaise kahte hain mukammal sher ya umda ghazal
sikhna 'agyat' ne ilm-o-hunar jari rakha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close