dil mein jamal-e-yar ki tanwir dekhiye

dil mein jamal-e-yar ki tanwir dekhiye
is aaine mein surat-e-taswir dekhiye

ruswa tamam khalq mein hon ya zalil hon
kya din dikhae nala-e-shab-gir dekhiye

banda kahan janab kahan ye makan kahan
maqsum dekhiye meri taqdir dekhiye

ab ke jo haul-e-dil ho to ye kijiye ilaj
sine pe rakh ke yar ke taswir dekhiye

darwaza kholiye mujhe ghar mein bulaiye
kab se hila raha hun main zanjir dekhiye

hai qasr-e-tan mein rasha-e-piri se zalzala
girti hai koi dam mein ye tamir dekhiye

kuche mein aap ke mere mitti kharab hai
barbaad ho rahi hai ye iksir dekhiye

jallad se kaho ki na puchhe wasiyyaten
hoti hai mere qatl mein takhir dekhiye

mahshar mein bhi hua na mera un ka faisla
tul-e-kalam-o-wusat-e-taqrir dekhiye

dil aap ka to kya hai abhi arsh tak hile
manzur ho to aah ki tasir dekhiye

bimar ho ke bosa-e-unnab-e-lab liya
mujh ko na dekhiye meri tadbir dekhiye

jab bosa mangta hun main karte ho hujjaten
itne se munh pe aur ye taqrir dekhiye

piri mein hum ko ishq-e-mizha ka khayal hai
hoti hai ye kaman hadaf tir dekhiye

manzur imtihan hai bakhshish ka aap ke
karta hun kis umid pe taqsir dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close