waqt rakhta hai jo sambhaal ke log dhund kar la wahi kamal ke log tu ne dekha junun ke mele mein kitne shaidai the dhamal ke log kash mar jae tu uruj mein hi muntazir hain tere zawal ke log mar gae aap ghup andhere mein chand teri taraf uchhaal ke log yaad ki khushk jhil mein aksar baithe rahte hain panw dal ke log tere dukh mein sharik hone ko khud ko lae hain gham mein dhaal ke log mubtala-e-hazar-gham hun magar hans ke milte hain khanewal ke log