jab hamari zindagi ka khatm afsana hua us ghadi sad-haif un ka khair se aana hua aap to hanste rahe hum ro ke ruswa ho gae shama to chalti rahi pamal parwana hua meri barbaadi ke charche sun ke kis kis naz se puchhte hain muskura kar kaun diwana hua dahr mein ab muskurane ki hamein fursat nahin dil hujum-e-gham bana gham aah-e-afsana hua tu na hota to zamin-o-asman kuchh bhi na tha tere qadmon ki badaulat mera kashana hua ai karam-farma tujhe ho ilm us ka ya na ho kaun tujh mein kho ke aur phir khud se begana hua hum hi ek tanha nahin 'tasnim' mastane hue un ki nazren kya uthin har rind mastana hua