war hua kuchh itna gahra pani ka nikla chattanon se rasta pani ka dekha khun to aankhon se aansu nikle jod gaya donon ko rishta pani ka tiron ki bauchhad bhi sahna hai mujh ko mere hath mein hai mashkiza pani ka udti ret pe likhna hai tafsir use jis ne samajh liya hai lahja pani ka pighla sona aankhon mein bhar leta hun rang jo ho jata hai sunahra pani ka aankhon mein jitne aansu the khushk hue qaht hai ab ke dariya dariya pani ka chalta hun be-ab zaminon par 'shahid' aankhon mein phirta hai dariya pani ka