talib ho wahan aan ke kya koi sanam ka ho jis ko bharosa na jahan ek bhi dam ka kya main tujhe ahwal dil-o-jaan ka bataun ab main to irada kiye baitha hun adam ka ki lakhon hain tadbir miyan hum ne wo lekin chhuta na ye dil bandha hua zulf ke kham ka ya wasl ho ya maut koi tarah to howe kab tak rahun pamal main is dard-o-alam ka jalne na diya aatish-e-gham se jigar-o-dil kya kya kahun ehsan main is dida-e-nam ka aaya jo nasha mai ka to shab aankh mein us ki sau rang se bad-masti ka rang aan ke chamka wasl us ka mayassar nahin sach kahta hai 'asif' kyun apne tain rakhta hai masruf tu gham ka