war se hum dil-e-bedar tak aa pahunche hain

war se hum dil-e-bedar tak aa pahunche hain
zindagi ke nae mear tak aa pahunche hain

khush-bayan talkhi-e-guftar tak aa pahunche hain
sina-e-gul se lab-e-khar tak aa pahunche hain

har qadam jalte hain jab khud hi charagh-e-manzil
log is garmi-e-raftar tak aa pahunche hain

ahl-e-dil aaj hue azmat-e-dil ke qail
be-jhijak anjuman-e-yar tak aa pahunche hain

kyon subuk-sar hue jate hain nazar mein apni
kis ke ehsan-e-giran-bar tak aa pahunche hain

soz-e-dil bijliyan ban jata hai jis mein dhal kar
saz-e-anfas ke us tar tak aa pahunche hain

gham-e-jaanan gham-e-dauran se badal jae jahan
hum us aaina-e-kirdar tak aa pahunche hain

khair-maqdam ke farebon ko samajhne ke liye
aaj ek bazm-e-riya-kar tak aa pahunche hain

khud jahan dar-o-rasan karte hain tazim-e-hayat
hum usi rifat-e-isar tak aa pahunche hain

kyon na bhadkaun 'shifa' azm ke shoale badh kar
marhale ab mere ashaar tak aa pahunche hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close