ab to aksar ye sochta hun main ba-wafa hun ki bewafa hun main chha gaya kaun meri hasti par sare aalam pe chha gaya hun main kyon koi nakhuda talash karun khud hi kashti ka nakhuda hun main ab mujhe dhundhna nahin aasan teri yaadon mein kho chuka hun main zindagi ki main bhik kyon mangun zindagi se to mawara hun main aalam-e-hosh ne qadam chume be-khudi mein jidhar gaya hun main hadson ne mujhe tarasha hai warna patthar se khurdura hun main kya gharaz hai mujhe farishton se koi insan dhundhta hun main is tarah dekhte hain log mujhe jaise teri koi ada hun main aap zahmat na kijiye ai khizr apni manzil se aashna hun main koi kah de ye bijliyon se 'bahaar' phir nasheman bana raha hun main