waraq waraq se naya ek jawab mangun main khud apni zat pe likkhi kitab mangun main ye khud-nawisht to mujh ko adhuri lagti hai jo ho sake to naya intisab mangun main hum apne shauq se aae na apni tarz jiye is imtihan mein naya ek nisab mangun main wo haq ki pyas thi dariya to bas bahana tha lab-e-furaat pe kis se jawab mangun main bas ek larza mere jism-o-jaan pe hota hai shuur-e-zat se jab ehtisab mangun main tere hisab mein hain khush-gumaniyan ab bhi tere bahane naya ek azab mangun main