saat-e-hijr jab satati hai

saat-e-hijr jab satati hai
waqt ki nabz ruk si jati hai

chizen apni jagah pe rahti hain
tirgi bas unhen chhupati hai

shor mein jo sadaen dab jaen
khamushi phir wahi sunati hai

dhup ki aanch hai jo raat gae
chandni ban ke muskuraati hai

husn shayad isi ko kahte hain
jab nazar laut laut jati hai

wo meri jit tere nam se thi
han magar haar meri zati hai

chand jab dhup mein nikalta hai
chandni kab nazar mein aati hai

khwab dekha ho jin ki aankhon ne
subh-e-nau bas unhen bulati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close