warna be-mani-o-be-kar gine jaenge shukr hum tere taraf-dar gine jaenge hum pe wo dhup abhi thik se nikli hi nahin hum jahan saya-e-diwar gine jaenge roz kuchh khwab banata hai unhen todta hun in mein se thik to do-chaar gine jaenge is qadar aap ne rakkha hai hansi ko arzan kal kalan aap bhi bazar gine jaenge aap bhi khush nazar aate hain ki kuchh gham hi na ho aap bhi mujh se adakar gine jaenge aap ke ginne ke andaz se lagta hai ki jald jo hain is par wo us par gine jaenge wo bhi din aaega do hath chhuwenge hum ko aur hum bhi gul-o-gulzar gine jaenge aap bhi kholte phirte hain purani girhen ek din aap bhi ghaddar gine jaenge