registraron mein kahan gham shumari hoti hai ye kaifiyat hai jo chehron pe tari hoti hai hum aise log bhi nakaam isi mein hote hain wo kaam jis mein bahut jaan mari hoti hai ki zakhm bhul ke sab dad dene lagte hain is ehtimam se takhrib-kari hoti hai kisi ka bhi nahin hota hai sirf apne siwa wo shakhs jis ki yahan sab se yari hoti hai kabhi-kabhaar main ji bhar ke us ko dekhta hun kabhi-kabhaar yahan dhund tari hoti hai