wasf-e-jamal-e-zauq hai ahl-e-nigah ka hairat kahun ki shor kahun wah wah ka ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum jada hamare waste kanta hai rah ka rakhta hai talkh-kaam gham-e-lazzat-e-jahan kya kijiye ki lutf nahin kuchh gunah ka kya kuchh janab-e-shaikh ki niyyat se tha baid mauqa bhi dukht-e-raz ne diya ho gunah ka ai barq kab se ek nazar-e-garm ke liye aatash-bajaan hai dasht mein tinka giyah ka hangama-e-hayat se lena to kuchh nahin han dekhte chalo ki tamasha hai rah ka main hasil-e-nazar hun tamanna-e-did mein leta hun kaam har bun-e-mu se nigah ka 'natiq' gila-pasand hai tu gham-jafa-pasand ai dad-khwah kaam hai be-dad-khwah ka