wo mizaj puchh lete hain salam kar ke dekho jo kalam ho kuchh is mein to kalam kar ke dekho kai rind-shaikh aise bhi hain dukht-e-raz pe shaida jo halal kar ke rakh denge haram kar ke dekho tum isi liye bane ho ki banao baaten waiz kisi kaam ke agar ho to wo kaam kar ke dekho ye hamein bhi dekhna hai tumhein kya kahegi duniya jo karam hai khas hum par use aam kar ke dekho jo nasib aazmana hai to raat kaisi din kya kahin subh kar ke dekho kahin sham kar ke dekho gham-e-zist ko na dekho ki fareb-e-zindagi hai ye masarraton ke arman to tamam kar ke dekho koi jins-e-dil ka shayad tumhein mil bhi jae gahak kahin le ke jao 'natiq' kabhi dam kar ke dekho