wasili si hawaen hain watan mein ghula hai zahar yun gang-o-jaman mein qafas mein hi lage mahfuz rahna parinde ab nahin udte gagan mein lutega karwan kaise nahin ab hue rahbar hi shamil rahzan mein gulon mein jalne ki bu aa rahi hai lagai aag ye kis ne chaman mein siyasat khel apna khelti hai ladati ab ibaadat aur bhajan mein lutate jaan apni sarhadon par jawan aate tirange ke kafan mein 'anis' us ko kahen kaise sukhnawar likhe tahrir zahrili sukhan mein