wasl ki zid se uthen hijr ko roya na karen besh-qimat hain ye lamhe inhen khoya na karen naseha aur bata hum ko ki kya kya na karen din mein soya na karen raat ko jaga na karen manzil-e-zikr rukh-e-yar se aage kuchh ho hum se to ho nahin sakta ise socha na karen hum ko rahna hai isi qarya-e-kam-nazran mein sakht mushkil hai yahan rah ke dikhawa na karen jhut sau bar kaha jae to sach lagta hai mashwara ye hai ki khud par bhi bharosa na karen yar kahte hain ki ye taur-e-junun achchha nahin us ki taswir ko aankhon se lagaya na karen hum nahin kar sake logon ki nazar ko qabu ladkiyon se kaho barish mein yun bhiga na karen ab jidhar dekhiye ek mahshar-e-khubi hai bapa aarzu kis ki karen kis ki tamanna na karen kaif hain aap koi majnun-o-farhad nahin pa-barahna nigah-e-khalq mein aaya na karen