wasl mein pher ke munh hae kisi ka kahna hum na manenge na manenge kisi ka kahna ek dushman hai ki tum sunte ho us ka kahna ek main hun kabhi hota nahin mera kahna dilruba kahta hai ai yar dulara kahna ek to nam hain do phir tujhe kya kya kahna hum manate hain tumhein bahr-e-khuda man jao man lo man lo ai jaan hamara kahna zeb-e-mahfil bhi ho tum zinat-e-gulshan bhi ho tum chaman-ara ki tumhein anjuman-ara kahna ek hi war mein sar tan se juda kar dala wah ai khanjar-e-saffak tera kya kahna dekh kar un ko mera shauq ye kahna hai mujhe tujh ko manzur hai jo kuchh unhen kahna kahna mujh ko ek jam pila kar ye kaha saqi ne ho agar aur zarurat to dobara kahna dard-e-dil dard-e-jigar dekhta ja ai saqi kya kaha kya kaha phir kahna dobara kahna tauba karne ka kaha main ne to saqi ne kaha kya kaha kya kaha phir kahna dobara kahna jo bura kahte hain kahne do unhen ai 'sabir' haq to ye hai ki mere haq mein hai achchha kahna