wasl mein zikr ghair ka na karo khush kiya hai to phir khafa na karo zulfon par mujh ko shefta na karo in balaon mein mubtala na karo meri itni to baat mano bhala baat aghyar se kiya na karo milne dunga na ghair se tum ko karo mujh se milap ya na karo mar bhi jaun kahin ye rog mite ai tabibon meri dawa na karo munh chhupana hi hai agar manzur mere aankhon-tale phira na karo ai gul in dinon rooge khilkhila kar bahut hansa na karo bosa lene do kuchh to ho taqsir hadaf-e-tir be-khata na karo jaan sadqe karun jo qadr karo dil tumhein dun agar dagha na karo kabhi fariyaadtan suno meri kaun kahta hai tum jafa na karo ghair par kyun nigah karte ho mujh ko is tir ka nishana karo do-ghadi ke liye hum aae hain talkh baaton se be-maza na karo ek purze pe likh ke ye do-harf dosto yar ko rawana karo jald aao ki dam nikalta hai mujh ko pito agar bahana karo 'bahr' shakir raho muqaddar par kas-o-na-kas se iltija na karo