rog aise bhi gham-e-yar se lag jate hain dar se uthte hain to diwar se lag jate hain ishq aaghaz mein halki si khalish rakhta hai baad mein saikdon aazar se lag jate hain pahle pahle hawas ik-adh dukan kholti hai phir to bazar ke bazar se lag jate hain bebasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai ro na paen to gale yar se lag jate hain katranen gham ki jo galiyon mein udi phirti hain ghar mein le aao to ambar se lag jate hain dagh daman ke hon dil ke hon ki chehre ke 'faraaz' kuchh nishan umr ki raftar se lag jate hain