wasta hai na dawa hai na dua mange hai tera bimar to aanchal ki hawa mange hai ghuncha ghuncha chaman-e-dahr ka allah allah tere andaz-e-tabassum ki ada mange hai chand karta hai falak se tera didar agar chandni badh ke tujhi se to ziya mange hai bijliyan si tere aariz se damak uthti hain rang kajal bhari aankhon se ghata mange hai dil-o-jaan nazr karun tujh pe luta dun duniya mujh se kya chiz in aankhon ki haya mange hai tere sanson ki mahakti mile ai kash faza zinda rahne ko ye dil aab-o-hawa mange hai mangne wale hazaron hain jahan mein yun to tera diwana magar sab se juda mange hai kyon ye kuchh log mohabbat ko bura kahte hain main to kahta hun mohabbat ko khuda mange hai dosh par zulf-e-moambar ko bikhar jaane do is ki khushbu ko ba-sad-shauq saba mange hai us ke kuche mein chalen khun baha den 'mukhtar' aaj diwanon se wo khun-e-wafa mange he