wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh barf ki tarah musalman ghule jate hain dagh ab un ki nazar mein hain sharafat ke nishan nai tahzib ki maujon se dhule jate hain ilm ne rasm ne mazhab ne jo ki thi bandish tuti jati hai wo sab band khule jate hain shaikh ko wajd mein lai hain piyanon ki gaten pech dastar-e-fazilat ke khule jate hain