widaa sath tumhaare hi ho gaya suraj phir us ke baad na hum ko kahin mila suraj kahin ubhar na saka roz-o-shab ki mahfil mein main din ka chand raha aur raat ka suraj uthe jo hum se giran-gosh to hua malum hamein pukar ke kab ka chala gaya suraj milan ki sham sahi par milan nasib kahan to chadhte chand ki mayyat mein dubta suraj us ek sham ko jis ke liye the chashm-ba-rah khilaf-e-waqt badi der se dhala suraj 'musawwir' aao usi shoala-rukh ki samt chalen suna hai dhalta nahin us ke baam ka suraj