tujh bin bahut hi katti hai auqat be-tarah jun-tun ke din to guzre hai par raat be-tarah hoti hai ek tarah se har kaam ki jaza aamal-e-ishq ki hai mukafat be-tarah bulbul kar us chaman mein samajh kar tuk aashiyan sayyaad lag raha hai teri ghat be-tarah puchha payam-bar se jo main yar ka jawab kahne laga khamosh ki hai baat be-tarah milne na dega hum se tujhe ek-dam raqib pichhe laga phire hai wo bad-zat be-tarah koi hi mor hai to rahe is mein shaikh-ji dadhi padi hai shane ke ab hath be-tarah 'sauda' na mil kar apni tu ab zindagi pe rahm hai us jawan ki tarz-e-mulaqat be-tarah