wirasat mein mili thi jo wo daulat ja rahi hai

wirasat mein mili thi jo wo daulat ja rahi hai
bahut din se kutub-khane ko dimak kha rahi hai

nazar aai hai sab ko aaine mein apni surat
sabhi ke nam par ungli uthai ja rahi hai

ye kaisa ajnabi lamha taaqub mein hai apne
udasi ghar ke andar panw ab phaila rahi hai

numud-e-subh hote hi ghar aai koi bulbul
maze se naghma-e-ulfat yahan par ga rahi hai

parakhti hai nigah-e-waqt kis kis zawiye se
ye kaise masalon ki gutthiyan suljha rahi hai

zamane ki koi parwa kare aakhir kahan tak
wo titli hai use phulon ki sohbat bha rahi hai

ye kaisi maslahat se log milte hain yahan par
ye kin jazbaat mein chahat simatti ja rahi hai

'azim' is daere se kis tarah bahar main niklun
ajab khushbu si zehn-o-dil pe mere chha rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close