gham-o-nishat ajab tha ki sab faza chup thi

gham-o-nishat ajab tha ki sab faza chup thi
mohabbaton ka shajar khushk tha saba chup thi

azab jhel raha tha kai balaon ke
labon pe man ke guzishta dinon dua chup thi

bujha diya tha charaghon ko ghar ke budhon ne
ajib shahr mein wahshat thi har sada chup thi

shikam ki aag ne jhulsa diya tha jism-o-jamal
har ek shakhs pe thi be-hisi ana chup thi

kai charagh kai taqchon mein raushan the
kamal ye tha wahan sar-phiri hawa chup thi

'azim' fikr thi man ko jawan beti ki
hue the hath to pile magar hina chup thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close