wo aa gaya to sara pari-khana ji utha aaraish-e-jamal se aaina ji utha mujh tak pahunch gaya to badi baat jaaniye aawaz-e-pa se jis ki mera zina ji utha yaran-e-mai-kada jo kabhi yaad aa gae mujh mein khumar-e-mahfil-e-parina ji utha the didani libason mein tarshe hue badan odhi jo us ne shaal to pashmina ji utha chae ki mez par gai shamon ka zikr tha mujh mein bhi ek talluq-e-derina ji utha