wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue

wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue
main zakhm zakhm tha barg-e-hina ke hote hue

bas ek manzar-e-khali tha meri aankhon mein
nigar-e-khana-e-rang-e-hina ke hote hue

wo taq-e-dil ho ki mehrab-e-mimbar-e-maqtal
charagh sab ne jalae hawa ke hote hue

ajib log the khamosh rah ke jite the
dilon mein hurmat-e-sang-e-sada ke hote hue

wo ek wasl ki shab bhi malal mein guzri
girah-e-kushai-e-band-e-qaba ke hote hue

wo laut aae the ranj-e-safar ke imkan se
rafiq-e-rah ki aawaz-e-pa ke hote hue

na kam hua tha gunahon se raghbaton ka junun
hazar sohbat-e-sidq-o-safa ke hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close