wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain kabhi hain dil mein kabhi jigar mein kabhi nazar mein sama rahe hain junun-nawazi hai meri fitrat isi se hasil hai mujh ko rahat jo mujh se hosh-o-khirad ne chhina junun ke sadqe wo pa rahe hain jigar ko rokun ya dil ko thamun ilahi kis kis ko main sambhaalun mere tasawwur ki anjuman mein wo aaj ban-than ke aa rahe hain lagai dil mein kuchh aisi tu ne ye aatish-e-sozish-e-mohabbat bhadak rahi hai ye utna paiham hum us ko jitna bujha rahe hain ye rah-e-ulfat ki thokaren hain inhen na manzil samajh ke thahro qadam badhao wo qafila hai tumhaare sathi bula rahe hain hain rahrawan-e-rah-e-mohabbat nirali rasmen nirali fitrat jahan luta karwan-e-ulfat wahin pe manzil bana rahe hain na hum ko sher-o-sukhan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab kisi ko 'iqbaal' dastan-e-gham-e-mohabbat suna rahe hain