wo aaj laut bhi aae to is se kya hoga ab us nigah ka patthar se samna hoga zamin ke zakhm samundar to bhar na paega ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpna hoga hazar neze udhar aur main idhar tanha meri shikast ka unwan hi dusra hoga jo tez dhup mein sayon ki fasl bote hain yahan ki aab o hawa ka unhen pata hoga main aur ek qadam us ki samt badh jata pata na tha ki wo itna gurez-pa hoga mera yaqin hai ki rah-e-wafa mein mere baad mera safar tere qadmon ne tai kiya hoga