ab to apne pas hain kewal bichhde yaron ki taswiren khali dastar-khwan pe jaise hon pakwanon ki taswiren majburi ke pinjre se main tum ko jate yun takta hun jaise parinda dekh raha ho udte parindon ki taswiren ek tasawwur aisa bhi hai hum tum sath mein baithe hon aur apne bachche khinch rahe hon phir hum donon ki taswiren aaj to aise bijli chamki barish aai khidki bhigi jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren ek ek kar ke main ne apne chehre gine jab tauba tauba chhoti si diwar ke upar itne chehron ki taswiren kamre ki taswir gawah hai dil mein bhi tum hi rahte ho warna ghar mein kaun sajata hai yun ghairon ki taswiren aa bhi jao taswiron se kab tak dil bahlaen aakhir darwazon se par nahin kartin darwazon ki taswiren