wo aankhen jin se mulaqat ek bahana hua unhen khabar hi nahin kaun kab nishana hua sitara-e-sahari ka bharosa mat kijo nae safar mein ye rakht-e-safar purana hua na jaane kaun si aatish mein jal bujhe hum tum yahan to jo bhi hua hai darun-e-khana hua kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua usi sitare ne bhatka diya sar-e-manzil safar pe jo meri tahwil mein rawana hua suna hai tujh ko to hum yaad bhi nahin aate ye imtihan to nahin ye to aazmana hua hamein to ishq muqaddar hai jaise rizq 'salim' so chal padenge jahan apna aab-o-dana hua