tere mathe pe jab tak bal raha hai ujala aankh se ojhal raha hai samate kya nazar mein chand tare tasawwur mein tera aanchal raha hai teri shan-e-taghaful ko khabar kya koi tere liye be-kal raha hai shikayat hai gham-e-dauran ko mujh se ki dil mein kyun tera gham pal raha hai tajjub hai sitam ki aandhiyon mein charagh-e-dil abhi tak jal raha hai lahu roengi maghrib ki fazaen badi tezi se suraj dhal raha hai zamana thak gaya 'jalib' hi tanha wafa ke raste par chal raha hai