wo aansu jo hans hans ke hum ne piye hain tumhaare diye the tumhaare liye hain karen wo jo chahen kahen wo jo chahen main paband-e-ulfat mere lab siye hain tumhaare hi rahm o karam ke sahaare na malum mar mar ke kyunkar jiye hain badi der tak jis se ponchhe the aansu wo daman abhi hath hi mein liye hain use main hi samjhun use main hi jaanun sitam kar rahe hain karam bhi kiye hain kahan pa-e-nazuk kahan rah-e-ulfat mere sath do ek qadam ho liye hain hansata hai sab ko hamara fasana hamin kahte kahte kabhi ro liye hain gul o bagh o naghma mah o mehr o anjum jo tum ho mere sab ye mere liye hain uthate wo kyun mil ke bar-e-mohabbat ye kya kam hai thoda sahaara diye hain bhale hain bure hain kisi se gharaz kya 'raza' wo bahar-haal mere liye hain