wo aashna-e-manzil-e-irfan hua nahin jis ko tere karam ka sahaara mila nahin dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahin tum se tum hi ho tum sa koi dusra nahin jaun to uth ke jaun kahan tere dar se main tere siwa kisi ko bhi dil manta nahin tera karam mata-e-do-alam mere liye tera karam rahe to do-alam mein kya nahin dast-e-talab badhe to mile phir karam ki bhik un ki ata ne ye bhi gawara kiya nahin main bhi faqir-e-dar hun mujhe bhi nawaz do mayus koi dar se tumhaare gaya nahin takmil bandagi na hui mujh se ai 'fana' jab tak dar-e-habib pe sajda kiya nahin