wo aasman hai to ho main zamin hun KHush hun

wo aasman hai to ho main zamin hun khush hun
ana ke shahr mein jab se makin hun khush hun

ye jaanti hun ke rahte hain sanp is mein magar
abhi bhi pahne wahi aastin hun khush hun

khizan ke dasht mein jashn-e-bahaar bhi hoga
na jaane kis liye yun pur-yaqin hun khush hun

suna hai chhod ke mujh ko wo kuchh udas sa hai
main us ki yaad ki ab tak amin hun khush hun

zamana zahiri surat mein aib dhundhta hai
mujhe guman hai ki dil se hasin hun khush hun

wo aaftab hai charcha hai chaar su us ka
main ek charagh hun gosha-nashin hun khush hun

'hina' pe rang-e-ibaadat faqat khuda ka raha
wo sajda-rez munawwar-jabin hun khush hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close