yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche

yaqin ki had se jo nikle guman tak pahunche
takhaiyyulat ki unchi udan tak pahunche

use bhi thoda sa ehsas-e-zulm ho jae
palat ke tir koi gar kaman tak pahunche

na wo hi padh saka aankhon mein meri haal mera
na lafz dil ke hi meri zaban tak pahunche

bhala ye fan hai ke hasil riyaz se ho jae
kabhi to koi dua aasman tak pahunche

ajab si be-hisi mitti ke is makan mein thi
so jism chhod diya la-makan tak pahunche

kitab-e-zist ke auraq khul uthe jis dam
wo padhte padhte meri dastan tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close