wo ab jang-o-jadal kuchh bhi nahin hai

wo ab jang-o-jadal kuchh bhi nahin hai
nahin dasht-o-jabal kuchh bhi nahin hai

khasare ka badal kuchh bhi nahin hai
magar mathe pe bal kuchh bhi nahin hai

ajab khush-shakl aur khush-posh hai wo
shikan koi na shal kuchh bhi nahin hai

har ek shai aasman par hai salamat
zamin par bar-mahal kuchh bhi nahin hai

use bhi kho ke kitne mutmain hain
wo shai jis ka badal kuchh bhi nahin hai

ghanimat jaaniye hai aaj jo kuchh
ye mat kahiyega kal kuchh bhi nahin hai

karenge rukh udhar kaise parinde
shajar pe phul phal kuchh bhi nahin hai

ilahi teri rahmat se hai ummid
hamara to amal kuchh bhi nahin hai

jise khauf-e-khuda har dam hai 'danish'
use khauf-e-ajal kuchh bhi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close