yazid-e-waqt mera khun bahana chahta hai wo karbala mein mujhe phir se lana chahta hai andheri raaton mein shab-khun marta tha jo wo ab ujale mein khul kar bhi aana chahta hai pata hai us ko ye sare chane hain lohe ke jigar to dekhiye phir bhi chabana chahta hai adu wo taj-mahal lal-qila ka hi nahin wo har nishani hamari mitana chahte hai faza ke zahr se ye bagh bhar gaya danish parinda phir bhi yahan chahchahana chahta hai