wo agar aae to pur-nur saman hota hai us ke aane se hi mausam ye jawan hota hai haal-e-dil kab ye nigahon se bayan hota hai raaz-e-ulfat na ye auron pe ayan hota hai na kabhi shor na hi aah-o-fughan hota hai jo bhi hota hai faqat zer-e-zaban hota hai yun guzarta hai mulaqat ka har ek lamha jaise lamhat ka dariya ye rawan hota hai raat sajti hai sitaron mein koi hai basta har sitare ka koi ek makan hota hai jagti aankhon se main khwab hun dekha karti meri nindon mein basa ek jahan hota hai