wo ahd ahd hi kya hai jise nibhao bhi hamare wada-e-ulfat ko bhul jao bhi bhala kahan ke hum aise guman wale hain hazar bar hum aaen hamein bulao bhi bigad chala hai bahut rasm-e-khud-kushi ka chalan darane walo kisi roz kar dikhao bhi nahin ki arz-e-tamanna pe man hi jao hamein is ahd-e-tamanna mein aazmao bhi fughan ki qissa-e-dil sun ke log kahte hain ye kaun si nai uftad hai hatao bhi tumhaari nind mein dubi hui nazar ki qasam hamein ye zid hai ki jago bhi aur jagao bhi