mera malik jab taufiq arzani karta hai gahre zard zamin ki rangat dhani karta hai bujhte hue diye ki lau aur bhigi aankh ke bich koi to hai jo khwabon ki nigarani karta hai malik se aur mitti se aur man se baghi shakhs dard ke har misaq se ru-gardani karta hai yaadon se aur khwabon se aur ummidon se rabt ho jae to jine mein aasani karta hai kya jaane kab kis saat mein taba rawan ho jae ye dariya be-mausam bhi tughyani karta hai dil pagal hai roz nai nadani karta hai aag mein aag milata hai phir pani karta hai