wo apni zat mein gum tha niDhaal aisa tha

wo apni zat mein gum tha nidhaal aisa tha
mizaj puchhne wale ka haal aisa tha

koi charagh sa chehra idhar nahin aaya
main na-murad tha yaro ki sal aisa tha

daba diya tha kisi hath ko andhere mein
wo jaan jaega mera khayal aisa tha

main gard-e-rah-e-safar tha kahan tha naqsh mera
alag alag tha main sab se kamal aisa tha

wo zahr qurb mujhe de ke phunk dalega
use ghurur tha us ka jalal aisa tha

dua salam na hogi nagar bhi chhodunga
wo talta bhi to kaise sawal aisa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close