ye siska bhi ye roya bhi mujhe is dil pe hairat hai

ye siska bhi ye roya bhi mujhe is dil pe hairat hai
ye tuta bhi ye bikhra bhi mujhe is dil pe hairat hai

ye soz-e-jaan diye jis ne usi ke nam par ab bhi
ye machla bhi ye dhadka bhi mujhe is dil pe hairat hai

meri nindon ka jo bairi usi kam-lutf ki khatir
ye tarsa bhi ye jaga bhi mujhe is dil pe hairat hai

mujhe sahra kiya jis ne usi par tut kar pagal
ye mahka bhi ye barsa bhi mujhe is dil pe hairat hai

ajab ek be-mehr hai wo magar us ki himayat mein
ye bola bhi ye rutha bhi mujhe is dil pe hairat hai

ghazab shoala-bayan hai wo magar us ki sabhi baaten
ye sunta bhi ye sahta bhi mujhe is dil pe hairat hai

sabhi gustakhiyan us ki khushi se bhul jata hai
ye kamla bhi ye pagla bhi mujhe is dil pe hairat hai

parai is ki aankhen hain magar un ke liye har din
ye nikhra bhi ye sanwara bhi mujhe is dil pe hairat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close