wo aur kuchh nahin ek tarz guftugu ki thi kaha ye kis ne kabhi teri aarzu ki thi kabhi bhi apni tabiat na jang-ju ki thi wahan ana ki nahin baat aabru ki thi jo zakhm tha to zara khun hi tapakta tha jalan tamam tere sozan-e-rafu ki thi tera jamal tha ya tha tilism-e-hosh-ruba lalak ajib se mujh mein bhi justuju ki thi samundaron ka wo ghussa tha ya zamin ka itab tamam shorish-e-tufan mere lahu ki thi guman guman hai guman hi rahe to achchha hai sada-e-qulqul-e-mina talab subu ki thi dahan-e-zakhm kahan tha 'shamim' kya malum lahu uchhaal ki shiddat rag-e-gulu ki thi