wo baam pe phir jalwa-numa mere liye hai gul-bar-o-ziya-bar faza mere liye hai pur-nur hua jata hai har jada-e-mughazal peshani-e-simin ki ziya mere liye hai ta-hadd-e-nazar phail gaya rang faza mein khush-rang wo tahrir-e-hina mere liye hai rukhsar-o-lab-o-gesu-o-abru ke jahan mein har gam pe ek hashr bapa mere liye hai kuchh dard ki shiddat mein kami hai to sahi ab shayad tere honton pe dua mere liye hai go tab nahin aur sitam sahne ki phir bhi ahbab ki har tarz-e-jafa mere liye hai main ab bhi 'nadim' apne muqaddar pe hun nazan wo naqsh-e-qadam rah-numa mere liye hai